30+ Best Raksha Bandhan Shayari in English

Raksha bandhan shayari in english – Raksha bandhan is a symbol of love between brothers and sisters. It is one of the favourite festival of every sister. All sisters always love their brothers a lot, and they always pray for their lovely brother. so today we have Raksha bandhan shayari in english to make this lovely realtionship strong. we hope you would really like. Raksha bandhan shayari for sister in english and raksha bandhan shayari in english for brother.

Happy raksha bandhan shayari in english

Bhai Behan Ka Ye Rista, Ye Aisa Bandhan Hain
Iss Bandhan Ko Sari Duniya Kehti Raksha Bandhan Hain

Malai Vali Barfi, Phoolo ka Haar
August Ka Mahina Patang Ki Bahar
Bhai Ke Hatho Par Behna Ka Pyar
Mubarak Ho Aapko Bahi Behan Ka Ye Tyohaar

Aaaya Hain August ka Ek Tyohaar
Jisme Milta Hain Behno Ko Pyar
Chalo Manaye Milkar Hum Ye Tyohaar

Sansaar Ki Har Khusi Tere Liye Launga Main
Apne Bhai Hone Ka Pharj Marte Dum Tak Nibhaunga Main

Pyar Ka Tyohaar Aaya
Bhai Behan Ka Pyar Laya
Aaj Ye Dua Karte Hain Hum
Bhaiya Khus Raho Tum Hardum

Behne Hoti Hain Ghar Ke Khushali
Behan Bina Lagta Hain Samay Bhari

Ye Tyohaar Khuch Khas Hain
Behan Ke Hath Me Pyare Bhai Ka Hath Hain
Meri Pyari Behno Mere Pass Kuch Khas Hain
Teri Raksha Ke Khatir Meri Behna
Tera Bhai Har Dum Tere Sath Hain

Duniya Se Alag Hain Bhai Mera
Jaan Se Pyara Hain Bhai Mera
Log Kehta Hain Khusiya Hi Sab Hoti Hain Duniya Me
Mere Liye To Zindagi Se Bhi Anmol Hain Bhai Mera

Baarish Ke Bundo Se Bhi Pyar Hain Meri Behna
Kaliyo Se Bhi Najuk Hain Meri Behna
Jannat Se Utari Koi Rajkumari Hain Meri Behna
Sach Kahu Jaan Se Pyar Hain Meri Behna

Alag Bhi Hain Nirala Bhai Hain
Narajgi Bhai Hain Pyar Bhi Hain
Bachpan Ki Yado Ka Pitara Hain
Ye Rista Duniya Me sabse Pyara Hain

Rakhi shayari in English

Majboot Dhago Ka Ye Majboot Bandhan
Mathe Par Chamakta Roli or Chandan
Pyar Se Mithai Khilaye Behan Pyari
Bhaiya ki Raajdulari

Ye Jamana Bhale Hi Bhula De Hame
Apne Dil Se Dur Na Karna
Iss Tyohaar Ke Pawan Din Par Bhaiya
Behna Ko Yaad Jarur Karna

Apni Har Khusi Ko Bhai Par Vaar Deti Hain
Behne To Zindagi Bhar Bus Pyar Deti Hain
Ladta Hain Bhai Bevajah Behan Se
Par Phir Bhi Behne Bhai Par Jaan Deti Hain

Rakhsa Bandhan Ka Rista Bahut Khas Hota Hain
Ye Rista Daulat Ka nahi
Prem Ka Mohtaj Hota Hain
Raksha bandhan Ki Shubkaamnaye

Behan Or Bhai Ka Pyar Kabhi Kam Nahi Hota
Riste to Akshar Duriyo Se Phike Pad Jaate Hain
Par Bhai Behan Ke Risto Me Kabhi Guma Nahi Hota

Bhaiyo Ko Behno Ka Sath Mubarak Ho
Behno Ko Bhaiyo Ka Pyar Mubarak Ho
Aise Hi Khus Rahe Hamesha Aapni Zindagi Me
Aap Sabhi Ko Rakho Ka Pawan Din Mubarak Ho

Behan Ne Bhaiya Ki Kalai Par Pyar Bandha Hain
Jaan Se Pyar Bhai Khus Rahe Hamesha
Bus Bhagwaan Se Yahi Saugat Manga Hain

Ye Bhai Behan Ka Tyohaar Hain
Har Taraf Khushiyo Ki Bauchar Hain
Resham Ke Dhago Se Bandha
Bhai Behan Ka Pyar Hain

Reshan Ke Dhago Se bani Pakki Dor Hain Rakhi
Bachpan Ki Mithi Shararato Ki Hod Hain Rakhi
Bhai Ke lambhi Umar Ki Dua Hain Rakhi
Behan Ke Pyar Ka Pavitr Dhua Hain Rakhi

Sath Khele Or Sath Lade Hum
Khub Mila Mata Pitaa Ka Pyar
Inhi Palo Ko Yaad Dilane
Aaya Ye Raksha Bandhan Ka Tyohaar
Happy Raksha Bandhan

Read also – Raksha bandhan shayari in hindi

Khush kismat hoti hai wo behen
Jiske sir pe bhai ka hath hota hai
Ladna jhagdana fir payar se manana
Tabhi to is rishte me itna payar hota hai

Kaccho dhago se bani dor hai Rakhi
Payar aur meethi shararto ki hod hai Rakhi
Bhai ke lambi umr ki dua hai Rakhi
Behen ke payar ki dhua hai Rakhi

A desire for well being that’s just not a thread
That’s a string of bond love and faith

Happy Raksha bandhan to all Soldiers
Who protect us Selflessly

Respect kiya karo kya farq padta hai
Behen apni ho ya kisi aur ki…
Kya farq padta nam sana ho ya shivani

Every year she ties a rakhi in return of a promise that
He will always save and support her
But when he falls in trouble, she never fails to become
His knight in shining armor

Apni Duaon Mein Jo, wakt Uska Zikr Karta Hai,
Woh Bhai Hai Jo Khud Se Jada, Apni Behan Ki Fiqr Karta Hai …

Ye Lamha bahut Khaas Hai,
Behen Ke Haathon Me Bhai Ka Haath Hai,
Oh Behna Tere Liye Mere Paas Kuch Khaass Hai,
Teri Khushiyo Ke Liye meri Behna,
Tera ye Bhai humesha Tere Saath Hai …

Kisi Ke Zakham Per Chahat Se Patti Kaun Baandhega,
Agar Behanein Nahin Hongi To Rakhi Kaun Baandhega?

Bachpan Ki Wo Bheeni Yadoon Lekar Aaya Rakhi Ka Tyohaar
Baat-Baat Par Wo Roothna Mera Sneh Tumhara Jyun Babul Ka Pyaar
Mubarak Ho Bhaiya Tumhein Raksha Bandhan Ka Ye Tyohaar!

On this Rakhi,
let’s bring back the lively spirit of childhood,
play pranks with each other and become
that wacky siblings we were always.

Janmo Ka Ye Bandhan Hai,
Sneh Aur Vishvas Ka, Aur Bhi Gehra Ho Jata Hai Ye Rishta,
Jab Bandhta Hai Dhaga Raksha Bandhan Ke Pyar Ka…
Happy Raksha Bandhan

Leave a Comment