Barish Shayari in English | Rain Shayari in English

Barish kise nahi pasand, or Barish ka mausam bhi aa gaya hai, Isliye aaj mai aapke liye Rain shayari in english layi hu, Please apne dosto ke sath share jarur kare

Aa jao tum bhi kabhi yun is suhaani barsaat mein,
Jaise dilkash khwab koi aata hai hasin raat mein

barish shayari english

Aaj ka mausam pyaar ka mausam hona chahiye,
Barsish to aayegi, bas baadal hona chahiye.

barish shayari in roman english

Aasmaan ro raha tha mere saath,
Aur use barish mein nahane ka shauq chadha tha.

romantic barish shayari in english

Ishq ki barish mein,
Taaumr hum khud bhi bheegte
Rahe teri yaad mein kabhi rote
Rahe to kabhi haste rahe…

barish shayari 2 line english

Unke milan se mehek uthi thi fizaayein,
Saundhi khushboo na barish ki thi na mitti ki.

barish shayari 2 line in english

Ae baadal kya kisi ne tera bhi dil dukhaya hai
Vernah itni shiddat se barsta hi kaun hai

sad barish shayari in english

Ae barish kahi aur ja ke barsa kar,
Mera dil bahut kamzor hai
Baat baat par roya karta hai!

barish shayari in english

Ae barish tu itna na bars
Ki wo aa na sake
Aur uske aane ke baad
Itna bars ki wo jaa na sake!

barish shayari in english

Ek arse baad barish hui mere sheher mein,
Dekho na,
Kuch boonde ab tak palakon se lipat hain.

barish shayari 2 line in english

Ehsaas ka toofan,
Kisi ke prati prem jagata hai,
Aur phir moh ka atirek,
Usme baadh le aata hai.

Kabhi bepanah barsi, kabhi khamosh gum si
Uff ye barish bhi kuch kuch hai tum si

Keh do baadalon se,
Kuch paani meri aankhon se,
Udaar le jaaye!

Kahi phisal hi na jaoon teri yaadon mein chalte chalte
Rok apni yaadon ko, mere shehar mein barish ka sama hai

Kaash meri zindagi mein koi aisa aata,
Main barish mein bhi rota to wo mere aansu padh jata.

Kitna kuch dhul gaya aaj is barish mein,
Haan tumhari yaadon ke panne bhi dhul gaye is barish mein.

Kiya na karo mujhse ishq ki baaten,
Bin barish ke hi bheeg jaati hain raaten.

Kuch to chahat hogi in boondon ki bhi
Vernah kaun chhuta hai
Is zameen ko us aasmaan se toot kar

Kuch nasha teri baat ka hai,
Kuch nasha dhimi barish ka hai,
Hume tum yun hi pagal mat samajhna,
Yeh dil par asar
Pehli mulaakaat ka hai!

Koi rang nahi hota is barish ke paani ka
Magar barste hi fiza ko rangeen bana deta hai

Khayalon mein wahi khwabon mein bhi wahi
Magar unki yaadon mein hum the hi nahi
Hum jaagte rahe duniya soti rahi
Ek barish hi to thi jo humare saath roti rahi

Khud ko itna bhi mat bachaya kar,
Barish ho to bheeg jaaya kar.

Khud bhi rota hai aur mujhe bhi
Rula ke jaata hai,
Ye barish ka mausam uski
Yaad dilaa ke jaata hai!

Khush naseeb hote hain baadal,
Jo door rahkar bhi
Zameen par barste hain,
Aur ek badnaseeb hum hain,
Jo ek hi duniya mein rahkar bhi
Milne ko tarste hain!

Khwahishein to thi
Tere sang barish mein bheegne ki
Par ghamon ke baadal kabhi
Chhate hi nahi!

Gham-e-barishe isliye nahi ki aap chale gaye
Balki isliye ki hum apne aapko bhool gaye

Gham-e-barishe isliye nahi
Ki tum chale gaye
Balki isliye ki
Hum khud ko bhool gaye!

Gham-e-barishe isliye nahi ki tum chale gaye,
Balki isliye ki hum khud ko bhool gaye.

Guzarish karta hoon ki
Usse akele mein mulaakaat
Ho khwahish-e-dil hai
Jab bhi ho barasaat ho!

Gun gunaati hui aati hai falak se boonde
Koi badli tere paajeb se takraai hai

Jakde the tere yaadon ke zanjeer se,
Phir barish ki pehli boond ne humein
Azaadi mukammal karai.

Jara thahro ki barish he
Yeh tham jaaye to phir jaana
Kisi ka tumko chhoo lena
Mujhe achcha nahi lagta!

Jara thahro ye barish tham jaaye to phir chale jaana
Kisi ka tujhe yun chhoo lena mujhe achcha nahi lagta

Jara si barish ne yun hi bheega diya
Takiyon to geeli the aansuon se
Adhure khwabon ne hume jeena sikhaya!

Jis tarah hum bheeg jaate hai teri yaadon mein doob kar
Is barish mein kahan wo kashish tere khyaalon jaisi

Julfen jo unki khul gayi
Lagta hai saawan aa gaya
Ab kaun rokega ghatayon
Ko ghoomne se lagta hai
Barish ka mausam aa gaya!

Jo wo barsa to
Ishq hoga aur main barsa to
Bas ashaq hoga!

Tujh mein aur barish mein ek
Khaas baat hai,
Dono hi kabhi-kabhi bewajah
Zor se barste hain!

Tumhare chehre ka mausam
Bada suhaana lagta
Main thoda luft utha loon
Agar bura na lage!

Tere intezaar ka maza hi
Kuch aur hai
Are uske aage to tere
Is mausam ka
Maza bhi kamzor hai!

Tere ishq ki barish mein kuch is
Kadar bheeng jaoon,
Ho ke mast maula main is duniya
Ko bhool jaoon!

Tere ishq ki barish ho,
Main jalmagan ho jaoon,
Tum ghatta ban kar chale aao,
Main baadal ban jaoon!

Tere prem ki barish ho,
Main jalmagan ho jaoon,
Tum ghata ban chali aao,
Main baadal ban jaoon.

Dil ki baatein kaun jaane,
Mere haalaat ko kaun jaane,
Bas barish ka mausam hai,
Meri pyaas ka
Ehsaas kaun jaane!

Dil mein anjaana sa ehsaas,
Jaise barish chupke se kuch keh rahi hai,
Na jaane kaun si kashish hai is barish mein,
Jo saath mein yaadein bhi le aayi hai.

Na koi chhatrchhaya hai,
Na koi moh maya hai,
Barish se zyada to mujhko
Teri yaadon ne bheegaaya hai.

Na jaane wo shaam kab aayegi,
Barish, chai, pakode
Main aur tum saath honge.

Nainon se ab barish hoti hai meri,
Palakon ke konon se neend roti hai meri.

Pehle barish hoti thi to yaad aate the
Ab yaad aate ho to barish hoti hai

Poochte the na kitna chaahte hain hum tumhe
Lo ab gin lo barish ki ye boonde

Poochte ho na mujhse tum hamesha
Ki main kitna pyaar karta hoon tumhe
To gin lo barsti hui in boondon ko tum!

Pooche koi usse ke dukh hai ya khushi hai,
Jaane kyon boond koi barish ki pattom pe ruki hai.

Faasle khwahishon se zindagi ne itne kar daale hain,
Baarish ki boonde aur hamne khidki se haath nikale hain.

Barsaat ka baadal to deewana hai wo kya jaane
Kis raah se bachna hai kis chhat ko bhigoana hai

Baadal jab garajte hain
Dil ki dhadkan badh jaati hai
Dil ki har ek dhadkan se
Awaaz tumhari aati hai
Barish ke har katre se
Awaaz tumhari aati hai
Mausam hai barish ka aur yaad tumhari aati hai…

Baadal bade chup-chup se lagte hain,
Naaraaz khud se lagte hain

Baadalon ko gurur tha ki wo uchchai pe hai,
Jab barish hui to use zameen ki mitti hi raas aayi.

Baarish aur mohabbat dono hi
Yaadgaar hote hain,
Baarish mein jism bheegta hai
Aur mohabbat mein aankhen!

Baarish ka mausam mujhe isliye bhaata hai,
Andar aur bahar ka mausam ek sa ho jaata hai.

Baarish ki boond ban,
Ham kuch yun bars jaaye tujhmein,
Tu samandar ban sama le humein khud mein.

Baarish ki boonde aaj
Mere chehre ko chhoo gayi
Lagta hai shayad aasma
Ko jami mil gayi!

Baarish ki boondon ko
Chhaton se roka na karo,
Bechari bahut door se tumse milne aati hain.

Baarish tere bin bhi hoti hai mere shehar mein
Magar usme sirf paani barsta hai ishq nahi

Baarish mein hum paani ban kar
Bars jaayenge
Patjhar mein bhi phool ban kar
Bikhar jaayenge
Kya hua jo hum aapko sataate hain
Kabhi aap in lamhon ke liye
Bhi taras jaayenge

Baarish suhaani aur mohabbat puraani,
Jab bhi milti hai nayi si lagti hai.

Baarish se mohabbat mujhe kuch is qadar hai,
Wo barshata udhar hai,
Aur mera dil dhadakta idhar hai.

Baarishon ki bhi apni kahaani hai,
Jaise ashon ke saath behata paani hai.

Baarishon mein bewajah bhi bheeg jaana chahiye,
Mere azeez yaaron,
Har mausam ka lutf uthana chahiye.

Bheegte hain jis tarah se
Teri yaadon mein doob kar,
Is barish mein kahan wo kashish
Tere khyaalon jaisi.

Bheege hain khidki ke sheeshe,
Bheega hai man bhi mera,
Lagta hai barish hui thi kal raat,
Bahar bhi aur andar bhi.

Madmast boondon ko girte dekha,
Baadal ka haal bataate hain,
Tadapan mein apni ban ke barish,
Wo dhara se milne aate hain.

Maana hai apna ishq rutha abhi,
Adhuri dastaan bhi mukammal hogi kabhi.
Ek roz us ishq ki barish hum par bhi hogi kabhi.

Maasoom mohabbat ka bas itna sa fasaana hai
Kagaz ki kashti aur barish sa zamaana hai

Mujhe aisa hi zindagi ka
Har ek pal chahiye
Pyaar se bhari barish aur
Sang tum chahiye!

Mujhe zindagi ka aisa
Hi ek pal chahiye,
Mohabbat se bhari barish,
Aur sang tu chahiye!

Mohabbat to wo barish hai
Jise chhoone ki chahat mein
Hatheliyaan to geeli ho jaati hai
Par haath khaali hi reh jaate hai!

Mausam ka kuch aisa khumaar hai
Man karta hai cheek kar keh doon
Humko tumse bahut pyaar hai!

Mausam chal raha hai ishq ka saahib
Jara sambhaal kar rehna!

Mausam hai baarish ka
Aur yaad tumhari aati hai
Barish ke har katre se sirf
Tumhari awaaz aati hai!

Mausam-e-ishq hai tu ek kahaani ban ke aa
Mere rooh ko bhigo de jo tu wo paani ban ke aa

Yun to khwahishein bahut thi dil ko barisho ki,
Abke bars asho se roobaru iraade dhool gaye.

Ye ishq ka mausam ajeeb hai janaab,
Is barish mein kai rishte dhul jaate hain,
Begaanon se karte hai mohabbat kuch log,
Aur apnon ke hi aansu bhool jaate hain.

Ye barish apne saath saath
Tumhari yaado ki bauchaar laayi hai,
Tanhai ke is aalam mein,
Khushiyaan beshumaar laayi hai.

Ye baarish ki boonde pyaar bhara sangeet hai,
Hawa ke saath athkheliyaan karti hain,
Khidkiyaan khol kar inhe chhoone ka,
Intezaar aaj bhi hatheliyaan karti hain.

Ye baarish ke baad ki wo boonda-baandi is tarah lagti hai,
Jaise tumhara alvida bolne ke baad bhi thodi der baat karna.

Ye baarish gawaah hai mere har un aansuon ki,
Jo sirf tumhaare liye behte hain.

Ye baarish bhi kitni ajeeb hai,
Poore tan ko to bheega deti hai,
Magar uske saamne aansu chhupane mein,
Meri madad nahi kar paati hai.

Ye baarishon se dosti
Achhi nahi Faraz
Kaccha tera makaan hai
Kuch to khyaal karo!

Ye halki-halki sardi hawaayein,
Ye baarish ka mausam,
Main tummein pura rehta hoon,
Tum mujhme kyun rehti ho kam.

Rahne do ab, ke tum bhi mujhe padh na sakoge
Barsaat mein kagaz ki tarah bheeg gaya hoon main

Raat main saare gham aasmaan ko suna diye
Subah main chup hoon aur aasmaan bars raha hai

Lagta hai aaj mausam khushnuma hai.
Hui nahi barish phir bhi wo bheegi hui hai.

Waah mausam aaj teri ada par,
Dil khush ho gaya, yaad mujhe wo aayi aur tu bars gaya!

Wo baarish ki boondon ko baahon faila kar sama leta hai,
Wo jaanta hai ki har boond uski hi tarah tanha hai.

Wo mere rubaru aaye bhi to barsaat ke mausam mein
Hamare aansu beh rahe the aur wo barsaat samajh baithe

Sanbhla hi tha dil teri yaadon ke samandar se,
Ki achanak phir se barsaat ho gayi.

Sun e baarish, jara tham ke bars
Jab wo aa jaaye to jam ke bars
Pehle na bars ki wo aa na sake
Phir itna bars ki wo jaa na sake

Suna hai bazaar mein gir gaye hain daam itr ke
Barsaat ki pehli boondon ne
Aaj mitti ko jo chhoo hai

Suhana hai baarish ka
Mausam deewana hoon tera
Yaar paagal hai tere pyaar mein
Karta hai bas tera intezaar!

Hamare shehar aa jao
Sada barsaat rehti hai
Kabhi baadal barste hain
Kabhi aankhe barsti hai!

Humein maaloom hai tumne dekhi hain baarish ki boondein,
Magar meri aankhon se ye saawan aaj bhi haar jaata hai.

Har dafaa barish uska paigam lekar aati hai,
Aur mere banjar se dil ko hara bhara kar jaati hai.

Ho rahi hai barish,
Pura shehar ye viraan hai,
Ek hum hi to udaas nahi,
Saara shehar pareshaan hai.

Check also-

Leave a Comment